awright… peeps over here are bored with my sad n bad poems.. so this time im making it a tad mushy with a hint of attitude thrown in.. mind u just a hint..
and ofcourse.. this is yet another Hindi Poem translated into English.. and have somehow managed to capture the essence of the poem as it is.. π
So lemme know guys…
~~~
Waakif
In aankho ke nashe se
Madhosh nahi hai wo
In hoton ke garmi se
Gazeedah nahi hai wo
In andhere zulfon ke
Aasir nahi hai wo
Meri har ada se
Abhi anjaan hai wo
Mujmein jo aaz hai
Usse abhi be-soz hai wo
Haan meri deewangi se
Abhi wakif nahi hai wo..!!
~~~~
And now for the english translation…. I hope I have done justice to it..
~~~~
Unaware
The euphoria in these eyes
Havenβt intoxicated him as yet
The heat of these lips
Havenβt stung him as yet
Of these dense dark hair
He isnβt captive, as yet
Of my grace and beauty
Heβs unbeknownst as yet
Of my ardor and passion
He isnβt enchanted as yet
Yes, of my obsession
Heβs Unaware as yet.
~~~~
I hope you guys liked it… do lemme know your thoughts…
Thats it from Megzone for now..
Keep Smiling…!! Keep Rocking..!! Keep Blogging..!!
Cheerios..!!
Superb attitude and self confidence!
Loved it. π Awesome words and pic too π
ek tum ho jo intey acchey ho,
ek tum ho jo kitney pyarey ho,
ek tum ho jo kitney sundar ho,
ek tum ho jo chand sitare ho,
Aur ek hum hain, jo jooth boley jaa rahey hain
π Sorry dear.. thoda mood alag tha π
yea yea.. dikh raha hai mood..
ek main hoon jo itni acchi hoon
ek tum ho jo bade kacche ho
ek main jo itni pyarri hoon
ek tum ho jo kachi kaeri ho
ek main hoon jo bahut sundar hoon
ek tum ho jo ekdum bandar ho π
ek main hoon jo chand sitare hoon
ek tum ho jo bakwaas ke pitare ho π
ek main tho sacchai ka khitaab hoon
aur ek tum ho jo jhoot ka kitaab ho π
kyu janaab kaisi lagi mumbaiyya mirchi π
Ooff ye mirchi! Maja aagaya π
waise aapki tasweer ke taraf dekhke aisa lagta hian..
kya aankhen, kya chehra, kya hansi pai hai,
kya aankhen, kya chehra, kya hansi pai hai,
Lagta hai peepal ke ped se bhootni utar aai hai! π how’s it ms mumbai mirchi? π
oi nautanki… aurangabad ke santre.. ruk tu…
tumko dekha tho ye khayal aaya..
tumko dekha tho ye khayal aaya..
jaise chand par pada ho baadalo ka saaya π
Waah Waah…
Tumse milkar ho gaya zindagi se pyar,
Ab humein chod kar mat jana mere yaar,
Bin tere hum jee na paayenge,,,,,,,,,,,,,,,,,
Tum na rhoge to hum gadhe kis ko banayenge. π
aarghhh….gadha tu.. bandar bhi tu
mujse pioocho tho.. tho poori national geographic channel hai tu π
waise wo mera jawaab nai thaa unless u wanna take it as one π
tumko chodke kahaa jayenge
hum tho zindagi bhar tumhe satayenge
chahe dedo anginat naam
dost tho fir bhi tumhare hi kehlaayenge π
Waah waah.. dil khush kar diya jaaneman! π
@garfy..
abee soch le tune muje gadha kahaa.. teri dost hoon tho tu bhi wahi π
Just beautiful π π
thanks Marinela… that was sweet of you.. π
thanks for stopping by and i hope you keep visiting π
a strong poem, well penned.
thanks dear abder π
I just loved this poem…I could feel the allure of her beauty…just excellent!
aaaww..thannks martin dear.. π
thats really sweet of you π
a real beauty. you are a very talented writer.
aawww..thanks trisha.. you are jus being generous with words lady π
mast hai.. π
apni har nazar me usne aap hi ko paya..
apne honton par usne naam apka sajaya..
apki zulfon ke tale usne apna sansar basaya..
apki har ada par usne khud ko lutaya..
arey us deewane ne sab kuch kho kar paya hai apko..
or aap kehte hain,
apki deewangi se waakif nahi hai wo..
oi hoi mere shayar.. dil garden garden kar ditta yaar π
meri deewangi se gar wo wakif hote
tho hamare saanso mein apne mehak pirote
har lafz har alfaaz har naksh mein unka noor hota
itni khushiya milti ke, gham koso meel door hota
har savera har shaam unke naam hoti
aankho ke nami hoton ka jaam hoti
ab tho bas khwahishe hi reh gayi hai milan ki
bas faasle hi reh gaye hai dilon ki
π
π
Ye khwahishe kabi to poori hongi..
Ye fasle kabhi to kum honge..
Jin rahon ko tak kar sukhe hain apke ansu..
Unhi rahon par aap unke honge..
Or aisi hogi milan ki dastan vo..
Hansoge aap par ankhon ke mijaj kuch num honge..
@arpit..
aawww……kyaa baat hai yaar… aaj wadde shayaraana mizaaz hai aapke π
maanjra kya hai π
milan ki raina ka intezaar hai kabse
unke hone ki aas hai kabse
unke baahon mein pighal jaao barf ki tarah
is ehsaas ka khwaab hai kabse
un aankho ke nashe mein mera choor hona
ye ishtiyaaq in deedaah mein hai kabse
un narm labo ke khumaar is jism par bhi chaa jaaye
ye jazbaat is zehen mein hai kabse..
unse mulakaat ka anjuman ho na ho
unki tishnagi mere nafs mein hai kabse..
*vo maja milan me kahan jo intezaar me hai*
har lamha unko humare kareeb la deta hai,
pagal dil unse milne ki aas badha deta hai,
unse milne ko ye man khud-b-khud bhag jata hai,
unse milne ka ehsaas hi dil me aag lga jata hai,
koi ashiq is baat ko kahan samajh pata hai,
ki
jo maja intezaar me hai vo milne me nahi aata hai.. nahi aata hai.. π
intezaaar mein thakk gayi ye meri aankhein
bin unke barasti hai meri aankhein
ek jhalak ko unke main tadpu is kadar
saawan ke liye dharthi tadapti hai jis kadar
na tarsaao humein yun judaai mein
kho gaye unke ishq ki khudaai mein
koi jaake batado unse kitni mohabbat hai
jitni hai saanse is nafs utni mohabbat hai
wah-wah…
maan gaye ustaad… π
dhanyawad dhanywad π