Continuing with my V-Day Carnival.. Here’s a new poem in tandem with the Valentines Day Celebration and festivities..
For more information on this please view my previous post on Just Around the Corner
So here’s newest offering š
~~~~
Wo Jaadugar
Kaatil adaon ka pitaara
Le aaya wo Jaadugar
Fasane kisi mohtarma ko
fir aaya wo Jaadugar
.
Meethi meethi karta wo baatein
Sajaata ankhiyo mein khwab
NatkhatĀ jagaata saariĀ raatein
Lekin har lutfĀ kar de dil betaab
.
Hasi ke fawware
Fir laaya wo jaadugar
Kamsin hoton ko khilaane
Fir aaya wo jaadugar
.
Bhatakti nazreĀ dhoondti us ek koĀ ā¦
Jis par hoga agla waar
Churakar chupke se dil ko
bacha naa koi, wo tez nazro ke dhaar ā¦
.
Ghayal karne masoom dilo ko
Fir aaya wo jaadugar
Ruswaah karne sabhi mehfilo koĀ //
Fir aaya wo jaadugar
.
Khili ekĀ nazuk kali,Ā anjaanĀ uske tewar se
DekhĀ kali koĀ Jaadugar khush huaa dil hi dil mein
Jaa pahuncha pehloo mein- nadaaan mann ko behlaane
Lut gayi kali ki kismetĀ , jo aa gayi uski baton mein
.
TabaahĀ Ā kar uske wajood ko
Fir bhaaga wo jaadugar
Dhoondne koi aur kali
Fir kahin pahuncha wo jaadugar
Haseeno ko apne jaal mein phaasne
Fir aaya wo jaadugar
~~~
So come lets Spread love..
Thats all from Megzone for now..
Keep Smiling..!!! Keep Rocking..!!! Keep Blogging..!!
Cheerios..!!