Continuing with my V-Day Carnival.. Here’s a new poem in tandem with the Valentines Day Celebration and festivities..
For more information on this please view my previous post on Just Around the Corner
So here’s newest offering 🙂
~~~~
Wo Jaadugar
Kaatil adaon ka pitaara
Le aaya wo Jaadugar
Fasane kisi mohtarma ko
fir aaya wo Jaadugar
.
Meethi meethi karta wo baatein
Sajaata ankhiyo mein khwab
Natkhat jagaata saari raatein
Lekin har lutf kar de dil betaab
.
Hasi ke fawware
Fir laaya wo jaadugar
Kamsin hoton ko khilaane
Fir aaya wo jaadugar
.
Bhatakti nazre dhoondti us ek ko …
Jis par hoga agla waar
Churakar chupke se dil ko
bacha naa koi, wo tez nazro ke dhaar …
.
Ghayal karne masoom dilo ko
Fir aaya wo jaadugar
Ruswaah karne sabhi mehfilo ko //
Fir aaya wo jaadugar
.
Khili ek nazuk kali, anjaan uske tewar se
Dekh kali ko Jaadugar khush huaa dil hi dil mein
Jaa pahuncha pehloo mein- nadaaan mann ko behlaane
Lut gayi kali ki kismet , jo aa gayi uski baton mein
.
Tabaah kar uske wajood ko
Fir bhaaga wo jaadugar
Dhoondne koi aur kali
Fir kahin pahuncha wo jaadugar
Haseeno ko apne jaal mein phaasne
Fir aaya wo jaadugar
~~~
So come lets Spread love..
Thats all from Megzone for now..
Keep Smiling..!!! Keep Rocking..!!! Keep Blogging..!!
Cheerios..!!